Responsive Ad

Sad Urdu Poems

 

Sad Urdu Poems


Zakham Dil Pur Bahhar Dekha Hai

Kya Ajab Lala Zaar Dekha Hai

Jinn Ke Daman Mein Kuchh Nahi Hota

Unn Ke Seenon Mein Pyar Dekha Hai

Khaak Urti Hai Teri Galiyo Mein

Zindagi Ka Waqar Dekha Hai

Teshnagee Hay Sadaf Kay Hoontn Par

Gul Ka Seenah Figaar Dekha Hai

Saakiya! Ihtimaam Baadah Kar

Waqt Ko Sogwaar Dekha Hai

Jazba Gham Ki Kher Ho Saghir

Hasratoon Par Nikhaar Dekha Hai

*******

Apne Sar Kyun Ghair Ka Ahsaan Lo

Khud Parkh Lo, Mujh Ko Tum, Pehchan Lo

Tum Pay Sadqy, Jaan Lo, Imaan Lo

Haan, Magar Hum Ko To Apna Jaan Lo

Jantay To Ho, Hamein Pehchan Lo

Maan Lo! Kehna Hamara Maan Lo

Hum Tumahray Thay, Tumahray Hi Rahay

Tum Kabhi Apna Hamein Gardaan Lo

*******

Apnee Taaswer Ko Ankhon Sy Lagata Keya Hay

Ek Nazer Mere Taraaf Dykh Teraa Jaata Kya Hay

Meri Ruswai Mein Woh Bhi Hain Barabar Shareek

Mery Qisay Mery Yaroon Ko Sunaata Kiya Hay

Paas Reh Kar Bhi Na Pehchan Saka To Mujh Ko

Dur Say Dakh Kay Ab Hath Heelata Kya Hai

Umar Bhar –Apne Garibaan Se Ulajhney Walay

To Mujhe Mere Hi Sayay Se Darata Kya Hai

Mein Tera Nahi Hon Magar Itna To Bta

Dekh Kar Mujhkoo Tairay Zahn Mein Aata Kya Hai

*******

Asmano Ko Zamiinon Se Milaane Walay

Jhutay Hotay Hain Yeh Taqdeer Bitanay Walay

Ab To Mar Jata Hai Rishta Hi Buray Waqton Par

Pehlay Mar Jatay Thay Rishton Ko Nibhanay Walay

Jo Tairay Aib Batata He Usay Mat Khona

Ab Kahan Mlitay Hain Ainaa` Dikhaane Walay

*******

Sad Urdu Poems


Kb Thahrey Gaa Daard Ay Dil Kb Rat Basr Hogee

Sunty Thy Wo Ayn Gy Sunty Thy Syhar Hogee

Kab Jaan Lahoo Hogi Kab Asshk Gohr Hoga

Kis Din Tri Shanwai Ae Deedaa Tar Hogi

Kab Mehkay Gi Fasal Gul Kab Behke Ga Me Khanah

Kab Subah Sukhan Hogi Kab Shaam Nazar Hogi

*******

Rait Par Ghar Yuhin Banana Kya

Khawab Ab Dekhna Dikhnana Kya

Jab Iraday Hain Paanion Jaisay

Un Pay Deewar Phir Uthana Kya

Aankh Jab Muntazir Nahi Koi

Raah Mein Deep Ab Jalana Kya

Ik Marz Ho To Hum Tabeb Karen

Saans Hai Rog, Sir Khapana Kya

Dam Hai Tora Har Ik Tamanna Ne

Tera Aana Bhi Ab Hai Aana Kya

Ju Mohabat Say Hay Guzar Aya

Usko Sehraa Se Phir Darana Kya

Jaan Jana Isi Ko Kehte Hain

Aur Hota Hai Dil Ka Aana Kya

Aqal Par Jis Ki Par Gaya Parda

Is Ko Phir Aaina Dikhnana Kya

Zindagi Hai Ke Jashne Wehshat Hai

Aik Maatam Ko Ab Manana Kya

Kahan Samjhay Ga Aadmi, Abrak

Kya Haqeeqat Hai Aur Fasana Kya

*******

Sun-Hwa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai

Ab Is Ki Marzi

Ke Woh Khizaa Ko Bahhar Likh Day

Bahhar Ko Intzaar Likh Day

Safar Ki Khwahish Ko

Waahmon Ke Azaab Se

Humkenar Likh Day

Wafa Ke Rustoon Pay Chalne Walon

Ki Kismaton Mein Gubhar Likh Day

Sun-Hwa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai