Responsive Ad

Urdu Sad Poem

 

Urdu Sad Poem

Yoohn B-Sabab Naa Phira Kaaro, Koee Sham Ghar Bhi Raaha Karo

Woh Ghazal Ki Sachhi Kitaab Hai, Usay Chupkay Chupkay Parha Karo

Koi Ha Th Bhi Nah Milaye Ga Jo Gilaay Milo Ge Tapaak Se

Ye Nae Meezaj Kaa Shehr Hay, Zaraa Fasly Sy Mila Kaaro

********

Bohat Mila Nah Mila, Zindagi Se Gham Kya Hai

Mata-E Dard Baham Hai To Besh O Kam Kya Hai

 

Hum Ek Umar Sy Waaqif Hyn, Aab Naa Samjho

Ke Lutaf Kya Hai Marey Mehrbaan, Sitam Kya Hai

********

Khareed Kar Jo Parinday Udaaye Jatay Hin

Hamaray Shehar Mein Kasrat Se Paye Jatay Hain

 

Mein Dekh Aaya Hon Ik Aisa Karkhana

Jahan Chairag Toar Ke Sooraj Banaye Jatay Hin

 

Yeh Kon Log Hain Pehlay Kabhi Nahi Dekhe

Jo Khech Taan Ke Manzar Pay Laaye Jatay Hain

********

 

Urdu Sad Poem

********

 

Kahani Jis Ki Thi Isi Ke Jaisa Ho Gaya Tha Main

Tmashaa Karty Karty Khood Tmashaa Hoo Gya Thaa Main

Naa Mera Naaam Thaa Naa Dam-E-Bazaar Mohabbat Main

Bas Is Ne Bhav Poocha Aur Mehanga Ho Gaya Tha Main

Bta Di Ik Umar Mein Ne Uski Ik Aawaz Suneney Main

Usaay Jaab Bolnaa Aaya Tou Berhaa Ho Gya Thaa Main

********

 

Bas Khandhar Hi Miley, Maken Nah Miley

Waqt Ko Hum Se, Hum Nashen Nah Miley

Jis Ne Milna Kabhi Nahi Hota

Aisa Koi Kabhi Kahin Nah Miley

Tera Milna Jahan Jahan Mumkin

Hum Ko Rasta Wahein Wahein Nah Miley

Zindagi Ab Kisi Sawal Pay To

Hum Ko Teri Nahi Nahi Nah Miley

Kuch Bhi Mumkin Nahi Wahan Hona

Apne Andar Jahan Yaqeen Nah Miley

Khud Se Jo Daur Baith Kar Dekha

Saaray Manzar Mein Hum Kahin Nah Miley

Lottay Waqt Soch Lena Tum

Kya Karo Ge Agar Hamein Nah Miley

Tum Ho Woh Badshaa Yahan Abrak

Mar Ke Do Gaz Jisay Zamee Nah Miley

********

 

Kahneeya Naa Sunoo Aas Pas Logo'n Ki

Ke Mera Shehar He Bastii Udaas Logon Ki

 

Nah Koi Simt Nah Manzil So Qaafla Kaisa

Rawan He Bheer Faqat Be Qiyaas Logon Ki

 

Mein Anay Walay Zamanoon Se Dar Raha Hon Frazz '

Ke Mein Ne Dekhi Hain Ankhen Udaas Logon Ki

********

 

Zindagi Se Lamhay Chura Kar

Batway Mein Rakhta Raha

Fursat Se Khrchon Ga

Bas Yahi Sochta Raha

Adhrhti Rahi Jaib

Karta Raha Tarbaee

Phisalti Rahi Khusihyan

Karta Raha Kamaai

Ik Din Fursat Paee Socha

Khud Ko Aaj Rajhoo

Barson Se Jo Jore

Woh Lamhay Kharch Kar Aon

To Khoola Batwa

Lamhay Nah Thay

Jane Kahan Beeet Gaye

Mein Ne To Kharchay Nah Thay

Jane Kaisay Beeet Gaye

Fursat Mili Thi Socha

Khud Se Hi Mil Aon

Aaiine Mein Dekha Jo

Pehchan Hi Nah Paon

Dheyaan Se Dekha To

Balon Pay Chandi Sa Charha Tha

Tha To Mujh Jaisa

Jane Kon Khara Tha

********

 

Zakham Glandorf Umeed Bhar Gaya Kab Ka

Qaatil To –Apne Ghar Gaya Kab Ka

 

Ab To Mun Apna Mat Dikhaoo Mujhe

Nasoo Mein Sُdhr Gaya Kab Ka

 

Aap Ab Poochnay Ko Aaye Hain

Dil Meri Jaan Mar Gaya Kab Ka

 

Aap Ik Aur Neend Le Lijiye

Qaafla Coach Kar Gaya Kab Ka

 

Mera Fehrist Se Nikaal Do Naam

Mein Khud Se Mukar Gaya Kab Ka