Responsive Ad

Urdu Sad Poems

Poetry in Urdu

 

Ajebb Hay Raaat Sy Ankho’n Kaa Alaam
Yeh Darya Raat Bhar Charhata Raha Hai
Sunaa Hay Raaat Bher Baarsa Hay Badaal
Magar Woh Shehar Jo Piyasa Raha Hai
Wo Koee Dost Thaa Aachay Din’on Kaa
Joo Pechli Raaat Sy Yad Aa Rahaa Hay
Kisay Dhoondo Un Galiyo Mein Nasir
Chaalo Aab Ghr Chalyn Din Jaa Raaha Hai
*******
Din Dhala, Shaam Hui, Chaand Setaaray Niklay
Tum Ne Wada To Kya, Ghar Se Nah Pyare! Niklay
Dost Jitne Thay, Woh Dushman Mِre Saaray Niklay
Dam Bhara Mera, Tarafdar Tumahray Niklay
Aur Phir Aur Hain, Ouron Ka Gilah Kya Karna
Hum Ne Parakhaa Jo Tumhe, Tum Nah Hamaray Niklay
Gham O Alaam Ke Maroo Ka Bohat Tha Charcha
Woh Bhi Kam Bikhat, Tre Ishhq Ke Maaray Niklay
Waye Qismat Ke Nah Raas Aayi Mohabbat Hum Ko
Haay Taqdeer Ke Woh Bhi Nah Hamaray Niklay
Jeetay Jee Hum Nah Hille –Apne Thikaane Se Naseer
Unn Ke Koochy Se Janazay Hi Hamaray Niklay
*******
Tumhe Yeh Maanna Ho Ga Ke
Hum Ne –Apne Lab Si Kar
Sakoot-E Shab Ki Muthi Mein
Koi Tufaan Rakha Hai! !
Saja Satke Thay Yaado Ke
Kayi Chehray
Kayi Paiker
Magar Kuch Soch Kar Hum Ne
Yeh Ghar Weraan Rakha Hai !
Hamein Shoqِ Azeeat Hai
Wagerna Is Zamane Mein
Teri Yaden Bhulane Ko
Bohat Samaan Rakha Hai
*******
*******
Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jatay Hain Jo Maqam
Woh Phir Nahi Atay
Phool Khultay Hain, Log Mlitay Hain Magar
Patt Jhar Mein Jo Phool Murjhaa Jatay Hain
Woh Baharon Ke Anay Se Khultay Nahi
Kuch Log Ik Roz Jo Bhichar Jatay Hain
Woh Hazaron Ke Anay Se Mlitay Nahi
Umar Bhar Chahay Koy Puraka Kere Un Ka Naam
Woh Phir Nahi Atay, Woh Phir Nahi Atay
*******
Karre Waqt Mein Jo Mein Ghar Gaya
Teri Yaad Hi Bani Moujza
Shab_E_ Hijar Mein Bhi Ae Jaan-E Jaan
Teri Qurbatoon Ka Samaa Raha
Mujhe Zindagi Se Bhi Pyar Tha
Mujhe Ishhq Se Bhi Aqeedatyn
Go Bohat Kathin Thay Rastay
Traa Saath Thaa Myn Raawaan Raaha
*******
Tri Aankh Ko Aazmana Para
Mujhe Qisay Gham Sunana Para

Ghaam Zendagi Teeri Khatr Humen
Sar-E Daar Bhi Muskurana Para

Jinhein Dekhna Bhi Nah Chahay Nazar
Inhen Se Talluq Barhana Para

Kayi Saanp Thay Qeemti Is Qader
Inhen Asteen Mein Chhupana Para